hai nau-javānī meñ zo.af-e-pīrī badan meñ ra.asha kamar meñ ḳham hai
zamīñ pe saaya hai apne qad kā ki jāda-e-manzil-e-adam hai
yahī hai rasm-e-jahān-e-fānī isī meñ kaTtī hai zindagānī
kabhī hai sāmān-e-aish-o-rāhat kabhī hujūm-e-ġham-o-alam hai
batāo kyuuñ chup ho muñh se bolo guhar-fishāñ ho dahan to kholo
aziiz rakhte ho jis ko dil se usī ke sar kī tumheñ qasam hai
haTāo ā.īne ko ḳhudārā laboñ pe aayā hai dam hamārā
banāv tum dekhte ho apnā yahāñ hai dhaḌkā ki raat kam hai
tumhāre kūche meñ jab se baiThe bhulā.e dil se sabhī tarīqe
ḳhudā hī shāhid jo jānte hoñ kahāñ kalīsā kahāñ haram hai
abas hai koshish husūl-e-zar meñ ḳhayāl-e-fāsid ko rakh na sar meñ
vahī milegā azal se jo kuchh har ek ke naam par raqam hai
farishte jannat ko le chale the pa tere kūche meñ ham jo pahuñche
machal ga.e un se kah ke chhoḌo hameñ yahī gulshan-e-iram hai
judā ho jab yaar apnā saaqī kahāñ kī sohbat sharāb kaisī
pilā.eñ gar ḳhizr āb-e-haivāñ ham us ko samjheñ yahī ki sam hai
jilā.e yā ham ko koī maare bahisht de yā saqar meñ Daale
rahegā us but kā naam lab par hamāre jab tak ki dam meñ dam hai
'habīb' tā-chand fikr-e-daulat kabhī to kar dil se shukr-e-ne.amat
karīm ko hai karam kī aadat magar ye ġhaflat tirī sitam hai