Wali Mohammad Wali

aaj sarsabz koh o sahra hai

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
aaj sarsabz koh o sahrā hai
har taraf sair hai tamāshā hai
chehra-e-yār o qāmat-e-zebā
gul-e-rañgīn o sarv-e-ra.anā hai
ma.ani-e-husn o ma.ani-e-ḳhūbī
sūrat-e-yār suuñ huvaidā hai
dam-e-jāñ-baḳhsh nau-ḳhatāñ muj kuuñ
chashma-e-ḳhizr hai masīhā hai
kamar-e-nāzuk o dahān-e-sanam
fikr bārīk hai muammā hai
mū-ba-mū us kuuñ hai pareshānī
zulf-e-mushkīñ kā jis kuuñ saudā hai
kyā haqīqat hai tujh tavāzo kī
yū talattuf hai yā mudāvā hai
sabab-e-dilrubā.i-e-āshiq
mehr hai lutf hai dilāsā hai
juuñ 'valī' raat din hai mahv-e-ḳhayāl
jis kuuñ tujh vasl kī tamannā hai
Top Urdushayar.com