āfāq meñ phaile hue manzar se nikal kar
chāhā tujhe maujūd-o-mayassar se nikal kar
din se bhī uThāte nahīñ ham raat ke parde
ḳhvāboñ ke ta.āqub meñ haiñ bistar se nikal kar
dīvār ke saa.e meñ bhī ik shahr hai ābād
dekhā hī nahīñ tū ne kabhī ghar se nikal kar
chashme pe jo paanī ke liye haath baḌhā.ūñ
chiñgāriyāñ aa jaatī haiñ patthar se nikal kar
pahchān rahī thī mujhe sāhil pe bichhī ret
ik lahr chalī aa.ī samundar se nikal kar