yuuñ to sadā-e-zaḳhm baḌī duur tak ga.ī
ik chārāgar ke shahr meñ jā kar bhaTak ga.ī
ḳhushbū giraft-e-aks meñ laayā aur us ke baad
maiñ dekhtā rahā tirī tasvīr thak ga.ī
gul ko barhana dekh ke jhoñkā nasīm kā
jugnū bujhā rahā thā ki titlī chamak ga.ī
maiñ ne paḌhā thā chāñd ko injīl kī tarah
aur chāñdnī salīb pe aa kar laTak ga.ī
rotī rahī lipaT ke har ik sañg-e-mīl se
majbūr ho ke shahr ke andar saḌak ga.ī
qātil ko aaj sāhib-e-ejāz maan kar
dīvār-e-adl apnī jagah se sarak ga.ī