nazar nazar meñ adā-e-jamāl rakhte the
ham ek shaḳhs kā kitnā ḳhayāl rakhte the
jabīñ pe aane na dete the ik shikan bhī kabhī
agarche dil meñ hazāroñ malāl rakhte the
ḳhushī usī kī hamesha nazar meñ rahtī thī
aur apnī quvvat-e-ġham bhī bahāl rakhte the
bas ishtiyāq-e-takallum meñ bār-hā ham log
javāb dil meñ zabāñ par savāl rakhte the
usī se karte the ham roz o shab kā andāza
zamīñ pe rah ke vo sūraj kī chaal rakhte the
junūñ kā jaam mohabbat kī mai ḳhirad kā ḳhumār
hamīñ the vo jo ye saare kamāl rakhte the
chhupā ke apnī sisaktī sulagtī sochoñ se
mohabbatoñ ke uruuj o zavāl rakhte the
kuchh un kā husn bhī thā māvarā misāloñ se
kuchh apnā ishq bhī ham be-misāl rakhte the
ḳhatā nahīñ jo khile phuul rāh-e-sarsar meñ
ye jurm hai ki vo fikr-e-ma.āl rakhte the