ban se fasīl-e-shahr tak koī savār bhī nahīñ
kis ko biThā.eñ taḳht par gard-o-ġhubār bhī nahīñ
barg-o-gul-o-tuyūr sab shāḳhoñ kī samt uḌ ga.e
qasr-e-jahāñ-panāh meñ naqsh-o-nigār bhī nahīñ
sāyoñ kī zad meñ aa ga.iiñ saarī ġhulām-gardisheñ
ab to kanīz ke liye rāh-e-farār bhī nahīñ
maile libās kī duā pahuñche shabīh-e-shāḳh tak
shāhoñ ke paa.eñ baaġh meñ aisā mazār bhī nahīñ
kal hama-tan jamāl the aa.ine hasb-e-hāl the
sunte haiñ ab vo ḳhāl-o-ḳhad aks ke paar bhī nahīñ