vo ajnabī thā ġhair thā kis ne kahā na thā
dil ko magar yaqīn kisī par huā na thā
ham ko to ehtiyāt-e-ġham-e-dil aziiz thī
kuchh is liye bhī kam-nigahī kā gilā na thā
dast-e-ḳhayāl-e-yār se phūTe shafaq ke rañg
naqsh-e-qadam bhī rañg-e-hinā ke sivā na thā
DhūñDā use bahut ki bulāyā thā jis ne paas
jalva magar kahīñ bhī sadā ke sivā na thā
kuchh is qadar thī garmī-e-bāzār-e-ārzū
dil jo ḳharīdtā thā use dekhtā na thā
kaise kareñge zikr-e-habīb-e-jafā-pasand
jab naam dostoñ meñ bhī lenā ravā na thā
kuchh yuuñ hī zard zard sī 'nāhīd' aaj thī
kuchh oḌhnī kā rañg bhī khiltā huā na thā