Ghulam Mohammad Qasir

sab rang na-tamam hon halka libas ho

Ghulam Mohammad Qasir

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1941-1999
sab rañg nā-tamām hoñ halkā libās ho
shaffāf pāniyoñ pe kañval kā libās ho
ashkoñ se bun ke marsiya pahnā diyā gayā
ab zindagī ke tan pe ġhazal kā libās ho
har ek aadmī ko mile ḳhil.at-e-bashar
har ek jhoñpaḌī pe mahal kā libās ho
sun le jo aane vaale zamāne kī āhaTeñ
kaise kahe ki aaj bhī kal kā libās ho
yā rab kisī sadī ke ufuq par Thahar na jaa.e
ik aisī sub.h jis kā dhundalkā libās ho
ujlā rahegā sirf mohabbat ke jism par
sadiyoñ kā pairahan ho ki pal kā libās ho
Top Urdushayar.com