bārūd ke badle hāthoñ meñ aa jaa.e kitāb to achchhā ho
ai kaash hamārī āñkhoñ kā ikkīsvāñ ḳhvāb to achchhā ho
har pattā nā-āsūda hai māhaul-e-chaman ālūda hai
rah jaa.eñ laraztī shāḳhoñ par do chaar gulāb to achchhā ho
yuuñ shor kā dariyā biphrā hai chiḌiyoñ ne chahaknā chhoḌ diyā
ḳhatre ke nishān se nīche ab utre sailāb to achchhā ho
har saal kī āḳhirī shāmoñ meñ do chaar varaq uḌ jaate haiñ
ab aur na bikhre rishtoñ kī bosīda kitāb to achchhā ho
har bachcha āñkheñ kholte hī kartā hai savāl mohabbat kā
duniyā ke kisī goshe se use mil jaa.e javāb to achchhā ho