ham ne to be-shumār bahāne banā.e haiñ
kahtā hai dil ki but bhī ḳhudā ne banā.e haiñ
le le ke terā naam in āñkhoñ ne raat bhar
tasbīh-e-intizār ke daane banā.e haiñ
ham ne tumhāre ġham ko haqīqat banā diyā
tum ne hamāre ġham ke fasāne banā.e haiñ
vo log mutma.in haiñ ki patthar haiñ un ke paas
ham ḳhush ki ham ne ā.īna-ḳhāne banā.e haiñ
bhañvre unhī pe chal ke kareñge tavāf-e-gul
jo dā.ere chaman meñ sabā ne banā.e haiñ
ham to vahāñ pahuñch nahīñ sakte tamām umr
āñkhoñ ne itnī duur Thikāne banā.e haiñ
aaj us badan pe bhī nazar aa.e talab ke daaġh
dīvār par bhī naqsh vafā ne banā.e haiñ