phir vahī kahne lage tū mire ghar aayā thā
chāñd jin chaar gavāhoñ ko nazar aayā thā
rañg phūloñ ne chune aap se milte julte
aur batāte bhī nahīñ kaun idhar aayā thā
buuñd bhī tishna abābīl pe nāzil na huī
varna bādal to bulandī se utar aayā thā
tū ne dekhā hī nahīñ varna vafā kā mujrim
apnī āñkheñ tirī dahlīz pe dhar aayā thā
bhuul baiThe haiñ na.e ḳhvāb kī sarshārī meñ
is se pahle bhī to ik ḳhvāb nazar aayā thā