Ghulam Mohammad Qasir

kitab-e-arzu ke gum-shuda kuchh bab rakkhe hain

Ghulam Mohammad Qasir

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1941-1999
kitāb-e-ārzū ke gum-shuda kuchh baab rakkhe haiñ
tire takiye ke nīche bhī hamāre ḳhvāb rakkhe haiñ
makāñ to satah-e-dariyā par banā.e haiñ hobāboñ ne
asāse ghar ke lekin sab ne zer-e-āb rakkhe haiñ
ye kañkar un se pahle haath par lahreñ banā legā
hamārī raah meñ chāhat ne jo tālāb rakkhe haiñ
kināroñ par pahuñch kar tairne lagtī haiñ tasvīreñ
samundar ne safīne to pas-e-girdāb rakkhe haiñ
hamāre ghar kī buniyādoñ ke patthar kyā hue āḳhir
kahīñ tūfān ke TukḌe kahīñ sailāb rakkhe haiñ
tire aane se pahle jin ko murjhāne kī jaldī thī
vahī patte havā-e-hijr ne shādāb rakkhe haiñ
Top Urdushayar.com