Ghulam Mohammad Qasir

aankh se bichhDe kajal ko tahrir banane wale

Ghulam Mohammad Qasir

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1941-1999
aañkh se bichhḌe kājal ko tahrīr banāne vaale
mushkil meñ paḌ jā.eñge tasvīr banāne vaale
ye dīvāna-pan to rahegā dasht ke saath safar meñ
saa.e meñ so jā.eñge zanjīr banāne vaale
us ne to dekhe an-dekhe ḳhvāb sabhī lauTā.e
aur the shāyad TuuTī huī tābīr banāne vaale
sone kī dīvār se aage mere kaam na aa.e
sachche jazbe miTTī ko iksīr banāne vaale
juzv-e-sher nahīñ haiñ 'qāsir' juzv-e-jāñ kar Daale
ham ko jitne dard mile the 'mīr' banāne vaale
Top Urdushayar.com