so.e hue jazboñ ko jagānā hī nahīñ thā
ai dil vo mohabbat kā zamāna hī nahīñ thā
mahke the charāġh aur dahak uTThī thiiñ kaliyāñ
go sab ko ḳhabar thī use aanā hī nahīñ thā
dīvār pe vādoñ kī amar-bel chaḌhā dī
ruḳhsat ke liye aur bahāna hī nahīñ thā
uḌtī huī chiñgāriyāñ sone nahīñ detīñ
rūThe hue is ḳhat ko jalānā hī nahīñ thā
nīndeñ bhī nazar band haiñ tābīr bhī qaidī
zindāñ meñ koī ḳhvāb sunānā hī nahīñ thā
paanī to hai kam naql-e-makānī hai zyāda
ye shahr sarāboñ meñ basānā hī nahīñ thā