Ghulam Mohammad Qasir

sina madfan ban jata hai jite jagte raazon ka

Ghulam Mohammad Qasir

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1941-1999
siina madfan ban jaatā hai jiite jāgte rāzoñ kā
jāñchnā zaḳhmoñ kī gahrā.ī kaam nahīñ andāzoñ kā
saarī chābiyāñ mere havāle kiiñ aur us ne itnā kahā
āThoñ pahar hifāzat karnā shahr hai nau darvāzoñ kā
sāmne kī āvāz se mere har ik rābte meñ haa.il
daa.eñ baa.eñ phailā lashkar anjānī āvāzoñ kā
āñkheñ aage baḌhnā chāheñ pīchhe rah jaatī hai nazar
palkoñ kī jhālar pe numāyāñ kaam sitāra-sāzoñ kā
yuuñ to ek zamāna guzrā dil-dariyā ko ḳhushk hue
phir bhī kisī ne surāġh na paayā Duube hue jahāzoñ kā
Top Urdushayar.com