Ghulam Mohammad Qasir

bayaban dur tak maine sajaya tha

Ghulam Mohammad Qasir

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1941-1999
bayābāñ duur tak maiñ ne sajāyā thā
magar vo shahr ke raste se aayā thā
diye kī aarzū ko jab bujhāyā thā
phir us ke baad aahaT thī na saaya thā
use jab dekhne ke baad dekhā to
vo ḳhud bhī dil hī dil meñ muskurāyā thā
dil-o-dīvār the ik naam kī zad par
kahīñ likhkhā kahīñ maiñ ne miTāyā thā
hazāroñ is meñ rahne ke liye aa.e
makāñ maiñ ne tasavvur meñ banāyā thā
jahāñ ne mujh ko pahle hī ḳhabar kar dī
kabūtar der se paiġhām laayā thā
chale mallāh kashtī giit ummīdeñ
ki jaise sab ko sāhil ne bulāyā thā
Top Urdushayar.com