Ghulam Mohammad Qasir

kuchh be-tartib sitaron ko palkon ne kiya tasKHir to kya

Ghulam Mohammad Qasir

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1941-1999
kuchh be-tartīb sitāroñ ko palkoñ ne kiyā tasḳhīr to kyā
vo shaḳhs nazar bhar ruk na sakā ehsās thā dāman-gīr to kyā
kuchh bante miTte dā.ere se ik shakl hazāroñ tasvīreñ
sab naqsh o nigār uruuj pe the āñkheñ thiiñ zavāl-pazīr to kyā
ḳhush huuñ ki kisī kī mahfil meñ arzāñ thī matā-e-bedārī
ab āñkheñ haiñ be-ḳhvāb to kyā ab ḳhvāb haiñ be-tābīr to kyā
ḳhvāhish ke musāfir to ab tak tārīki-e-jāñ meñ chalte haiñ
ik dil ke nihāñ-ḳhāne meñ kahīñ jaltī hai sham-e-zamīr to kyā
sahrā-e-tamannā meñ jis ke jiine kā javāz hī jhoñke hoñ
us ret ke zarroñ ne mil kar ik naam kiyā tahrīr to kyā
likhtā huuñ to poroñ se dil tak ik chāñdnī sī chhā jaatī hai
'qāsir' vo hilāl-e-harf kabhī ho paa.e na māh-e-munīr to kyā
Top Urdushayar.com