raat us ke sāmne mere sivā bhī maiñ hī thā
sab se pahle maiñ gayā thā dūsrā bhī maiñ hī thā
maiñ muḳhālif samt meñ chaltā rahā huuñ umr bhar
aur jo us tak gayā vo rāsta bhī maiñ hī thā
sab se kaT kar rah gayā ḳhud maiñ simaT kar rah gayā
silsila TuuTā kahāñ se sochtā bhī maiñ hī thā
sab se achchhā kah ke us ne mujh ko ruḳhsat kar diyā
jab yahāñ aayā to phir sab se burā bhī maiñ hī thā
vaqt ke mehrāb meñ jo be-sabab jaltā rahā
raat ne mujh ko batāyā vo diyā bhī maiñ hī thā
ḳhud se milne kī tamannā par zavāl aane ke baad
vo samajhtā hai ki us kā aa.ina bhī maiñ hī thā