Ghulam Mohammad Qasir

lab pe surKHi ki jagah jo muskurahaT mal rahe hain

Ghulam Mohammad Qasir

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1941-1999
lab pe surḳhī kī jagah jo muskurāhaT mal rahe haiñ
hasratoñ kā bojh shānoñ par uThā kar chal rahe haiñ
zindagī kī dauḌ meñ pīchhe na rah jaa.eñ kisī se
ḳhauf-o-ḳhvāhish ke ye paikar niind meñ bhī chal rahe haiñ
dil meñ ḳhema-zan añdhero kitnī jaldī meñ hai sūraj
jism tak jaage nahīñ haiñ aur saa.e Dhal rahe haiñ
mere qisse meñ achānak jugnuoñ kā zikr aayā
āsmāñ par mere hisse ke sitāre jal rahe haiñ
raakh hote jā rahe haiñ māh-o-sāl-e-zindagānī
jagmagā uThThā jahāñ ham saath pal do pal rahe haiñ
mā.il-e-sajda ġhulāmī bhuul jā ḳhū-e-salāmī
aaj vo bādal kahāñ sāya-fagan jo kal rahe haiñ
Top Urdushayar.com