Ghulam Mohammad Qasir

ban mein viran thi nazar shahr mein dil rota hai

Ghulam Mohammad Qasir

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1941-1999
ban meñ vīrāñ thī nazar shahr meñ dil rotā hai
zindagī se ye mirā dūsrā samjhautā hai
lahlahāte hue ḳhvāboñ se mirī āñkhoñ tak
ratjage kāsht na kar le to vo kab sotā hai
jis ko is fasl meñ honā hai barābar kā sharīk
mere ehsās meñ tanhā.iyāñ kyuuñ botā hai
naam likh likh ke tirā phuul banāne vaalā
aaj phir shabnamīñ āñkhoñ se varaq dhotā hai
tere baḳhshe hue ik ġham kā karishma hai ki ab
jo bhī ġham ho mire meyār se kam hotā hai
so ga.e shahr-e-mohabbat ke sabhī daaġh o charāġh
ek saaya pas-e-dīvār abhī rotā hai
ye bhī ik rañg hai shāyad mirī mahrūmī kā
koī hañs de to mohabbat kā gumāñ hotā hai
Top Urdushayar.com