Wali Mohammad Wali

hua zahir KHat-e-ru-e-nigar aahista-ahista

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
huā zāhir ḳhat-e-rū-e-nigār āhista-āhista
ki jyuuñ gulshan meñ aatī hai bahār āhista-āhista
kiyā huuñ rafta rafta raam us kī chashm-e-vehsī kuuñ
ki jyuuñ aahū kuuñ karte haiñ shikār āhista-āhista
jo apne tan kuuñ misl-e-jūebār avval kiyā paanī
huā us sarv-qad suuñ ham-kanār āhista-āhista
barañg-e-qatra-e-sīmāb mere dil kī jumbish suuñ
huā hai dil sanam kā be-qarār āhista-āhista
use kahnā bajā hai ishq ke gulzār kā bulbul
jo gul-rūyāñ meñ paayā e'tibār āhista-āhista
mirā dil ashk ho pahuñchā hai kūche meñ sirījan ke
gayā ka.abe meñ ye kashtī-savār āhista-āhista
'valī' mat hāsidāñ kī baat suuñ dil kuuñ mukaddar kar
ki āḳhir dil suuñ jāvegā ġhubār āhista-āhista
Top Urdushayar.com