baġhair us ke ab ārām bhī nahīñ aatā
vo shaḳhs jis kā mujhe naam bhī nahīñ aatā
usī kī shakl mujhe chāñd meñ nazar aa.e
vo māh-ruḳh jo lab-e-bām bhī nahīñ aatā
karūñgā kyā jo mohabbat meñ ho gayā nākām
mujhe to aur koī kaam bhī nahīñ aatā
biThā diyā mujhe dariyā ke us kināre par
jidhar hubāb tahī-jām bhī nahīñ aatā
churā ke ḳhvāb vo āñkhoñ ko rehn rakhtā hai
aur us ke sar koī ilzām bhī nahīñ aatā