gulāboñ ke nasheman se mire mahbūb ke sar tak
safar lambā thā ḳhushbū kā magar aa hī ga.ī ghar tak
vafā kī saltanat iqlīm-e-vāda sar-zamīn-e-dil
nazar kī zad meñ hai ḳhvāboñ se tābīroñ ke kishvar tak
kahīñ bhī sar-nigūñ hotā nahīñ iḳhlās kā parcham
judā.ī ke jazīre se mohabbat ke samundar tak
mohabbat ai mohabbat ek jazbe kī masāfat hai
mire āvāra sajde se tirī chaukhaT ke patthar tak
udāsī mū-qalam hai naqsh meñ rañg-e-malāl ubhrā
tamannāoñ ke pas-manzar se dil ke pesh-e-manzar tak