Ghulam Mohammad Qasir

milne ki har aas ke pichhe an-dekhi majburi thi

Ghulam Mohammad Qasir

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1941-1999
milne kī har aas ke pīchhe an-dekhī majbūrī thī
raah meñ dasht nahīñ paḌtā thā chaar gharoñ kī duurī thī
jazboñ kā dam ghuTne lagā hai lafzoñ ke ambār tale
pahle nishāñ-zad kar lenā thā jitnī baat zarūrī thī
terī shakl ke ek sitāre ne pal bhar sargoshī kī
shāyad māh-o-sāl-e-vafā kī bas itnī mazdūrī thī
pyaar gayā to kaise milte rañg se rañg aur ḳhvāb se ḳhvāb
ek mukammal ghar ke andar har tasvīr adhūrī thī
ek ġhazāl ko duur se dekhā aur ġhazal tayyār huī
sahme sahme se lafzoñ meñ halkī sī kastūrī thī
Top Urdushayar.com