kahīñ log tanhā kahīñ ghar akele
kahāñ tak maiñ dekhūñ ye manzar akele
galī meñ havāoñ kī sargoshiyāñ haiñ
gharoñ meñ magar sab sanobar akele
numā.ish hazāroñ nigāhoñ ne dekhī
magar phuul pahle se baḌh kar akele
ab ik tiir bhī ho liyā saath varna
parinda chalā thā safar par akele
jo dekho to ik lahar meñ jā rahe haiñ
jo socho to saare shanāvar akele
tirī yaad kī barf-bārī kā mausam
sulagtā rahā dil ke andar akele
irāda thā jī lūñgā tujh se bichhaḌ kar
guzartā nahīñ ik december akele
zamāne se 'qāsir' ḳhafā to nahīñ haiñ
ki dekhe ga.e haiñ vo aksar akele