Ghulam Mohammad Qasir

akela din hai koi aur na tanha raat hoti hai

Ghulam Mohammad Qasir

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1941-1999

akelā din hai koī aur na tanhā raat hotī hai

maiñ jis pal se guzartā huuñ mohabbat saath hotī hai

tirī āvāz ko is shahr lahreñ tarastī haiñ

ġhalat number milātā huuñ to pahroñ baat hotī hai

saroñ par ḳhauf-e-rusvā.ī chādar taan lete ho

tumhāre vāste rañgoñ jab barsāt hotī hai

kahīñ chiḌiyāñ chahaktī haiñ kahīñ kaliyāñ chaTaktī haiñ

magar mere makāñ se āsmāñ tak raat hotī hai

kise ābād samjhūñ kis shahr-āshob likhūñ maiñ

jahāñ shahroñ yaksāñ sūrat-e-hālāt hotī hai

Top Urdushayar.com