mohabbat kī gavāhī apne hone kī ḳhabar le jā
jidhar vo shaḳhs rahtā hai mujhe ai dil! udhar le jā
sajī hai bazm-e-shabnam to tabassum kaam aa.egā
ta.āruf phuul kā darpesh hai to chashm-e-tar le jā
añdhere meñ gayā vo raushnī meñ lauT aa.egā
diyā jo dil meñ jaltā hai usī ko baam par le jā
uḌānoñ āsmānoñ āshiyānoñ ke liye tā.ir!
ye par TuuTe hue mere ye meyār-e-nazar le jā
zamānoñ ko uḌāneñ barq ko raftār detā thā
magar mujh se kahā Thahre hue shām-o-sahar le jā
koī muñh pher letā hai to 'qāsir' ab shikāyat kyā
tujhe kis ne kahā thā aa.ine ko toḌ kar le jā