Ghulam Mohammad Qasir

shauq barhana-pa chalta tha aur raste pathrile the

Ghulam Mohammad Qasir

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1941-1999
shauq barhana-pā chaltā thā aur raste pathrīle the
ghiste ghiste ghis ga.e āḳhir kañkar jo nokīle the
ḳhār-e-chaman the shabnam shabnam phuul bhī saare giile the
shāḳh se TuuT ke girne vaale patte phir bhī piile the
sard havāoñ se to the sāhil ke ret ke yārāne
lū ke thapeḌe sahne vaale sahrāoñ ke Tiile the
tābinda tāroñ kā tohfa sub.h kī ḳhidmat meñ pahuñchā
raat ne chāñd kī nazr kiye jo taare kam chamkīle the
saare sapere vīrānoñ meñ ghuum rahe haiñ biin liye
ābādī meñ rahne vaale saañp baḌe zahrīle the
tum yuuñ hī nārāz hue ho varna mai-ḳhāne kā patā
ham ne har us shaḳhs se pūchhā jis ke nain nashīle the
kaun ġhulām mohammad 'qāsir' bechāre se kartā baat
ye chālākoñ kī bastī thī aur hazrat sharmīle the
Top Urdushayar.com