raat kā har ik manzar ranjishoñ se bojhal thā
chāñd bhī adhūrā thā maiñ bhī nā-mukammal thā
aañkh kī muñDeroñ par aarzū nahīñ larzī
ik charāġh kī lau se ik charāġh ojhal thā
jā milā tire dar ke gum-shuda zamānoñ meñ
merī umr kā hāsil pyaar kā jo ik pal thā
kyuuñ sulagtī āvāzeñ bhiig bhiig jaatī thiiñ
dasht-e-nā-rasā.ī meñ dhuup thī na bādal thā
duur to na thā itnā ḳhema us ke ḳhvāboñ kā
rāste meñ apnī hī ḳhvāhishoñ kā jañgal thā