Wali Mohammad Wali

dil hua hai mera KHarab-e-suKHan

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
dil huā hai mirā ḳharāb-e-suḳhan
dekh kar husn-e-behijāb-e-suḳhan
bazm-e-ma.anī meñ sarḳhushī hai use
jis kuuñ hai nashsha-e-sharāb-e-suḳhan
rāh-e-mazmūn-e-tāza band nahīñ
tā-qayāmat khulā hai bāb-e-suḳhan
jalva-pairā ho shāhid-e-ma.anī
jab zabāñ suuñ uThe naqāb-e-suḳhan
gauhar us kī nazar meñ jā na kare
jin ne dekhā hai āb-o-tāb-e-suḳhan
harjā-goyāñ kī baat kyūñki sune
jo sunā naġhma-e-rabāb-e-suḳhan
hai tirī baat ai nazākat-e-fahm
lauh-e-dībācha-e-kitāb-e-suḳhan
hai suḳhan jag manīñ adīm-ul-misāl
juz suḳhan niiñ dujā javāb-e-suḳhan
ai 'valī' dard-e-sar kabhū na rahe
jab mile sandal-o-gulāb-e-suḳhan
Top Urdushayar.com