Wali Mohammad Wali

kamar us dilruba ki dilruba hai

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
kamar us dilrubā kī dilrubā hai
nigah us ḳhush-adā kī ḳhush-adā hai
sajan ke husn kuuñ Tuk fikr suuñ dekh
ki ye ā.īna-e-ma.anī-numā hai
ye ḳhat hai jauhar-e-ā.īna-rāz
ise mushk-e-ḳhutan kahnā bajā hai
huā ma.alūm tujh zulfāñ suuñ ai shoḳh
ki shāh-e-husn par zill-e-humā hai
na hove kohkan kyuuñ aa ke āshiq
jo vo shīrīñ-adā gulgūñ-qabā hai
na pūchho āh-o-zārī kī haqīqat
azīzāñ āshiqī kā muqtazā hai
'valī' kuuñ mat malāmat kar ai vaa.iz
malāmat āshiqoñ par kab ravā hai
Top Urdushayar.com