Wali Mohammad Wali

tujh lab ki sifat lal-e-badaKHshan sun kahunga

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
tujh lab kī sifat la.al-e-badaḳhshāñ suuñ kahūñgā
jaadū haiñ tire nain ġhazālāñ suuñ kahūñgā
dī bādshahī haq ne tujhe husn-nagar kī
yū kishvar-e-īrāñ meñ sulaimāñ suuñ kahūñgā
tārīf tire qad kī alif-vār sirījan
jā sarv-e-gulistāñ kuuñ ḳhush-alhāñ suuñ kahūñgā
mujh par na karo zulm tum ai laili-e-ḳhūbāñ
majnūñ huuñ tire ġham kuuñ bayābāñ suuñ kahūñgā
dekhā huuñ tujhe ḳhvāb meñ ai māya-e-ḳhūbī
is ḳhvāb ko jā yūsuf-e-kan.āñ suuñ kahūñgā
jaltā huuñ shab-o-roz tire ġham meñ ai sājan
ye soz tirā mash.al-e-sozāñ suuñ kahūñgā
yak nuqta tire safha-e-ruḳh par na.iiñ bejā
is mukh ko tire safha-e-qur.āñ suuñ kahūñgā
qurbān parī mukh pe huī chob sī jal kar
ye baat ajā.ib mah-e-tābāñ suuñ kahūñgā
be-sabr na ho ai 'valī' is dard suuñ hargiz
jaltā huuñ tire dard meñ darmāñ suuñ kahūñgā
Top Urdushayar.com