ik ishq thā jo ham se dobāra nahīñ huā
kyā kyā vagarna dil ko ḳhasāra nahīñ huā
ik lafz jis ke ijz meñ iz.hār-e-dam-ba-ḳhud
ik naam merī aañkh kā taara nahīñ huā
vo ḳhvāb ban ke aañkh se phūTā to hai magar
ik ashk ban gayā hai sharāra nahīñ huā
ham kūza-gar ke haath meñ bhī juḌ nahīñ sake
is bhur-bhurī sī ḳhaak kā gaarā nahīñ huā
ḳhud-e'timād shaḳhs thā be-e'timād bhī
apnā na ban sakā to hamārā nahīñ huā
shorīdgī ke ārize tak aa gayā 'farah'
ik bojh jo ki dil se utārā nahīñ huā