Farah Khan

tere siwa to nazar mein koi jacha hi nahin

Farah Khan

1970
tire sivā to nazar meñ koī jachā hī nahīñ
ye mas.ala to magar tujh ko dikh rahā hī nahīñ
vo dil kī baat nigāhoñ se jaan saktā thā
vo jald-bāz magar in meñ jhāñktā hī nahīñ
lakīr khīñch ke naqsha ġhalat kiyā maiñ ne
ki merā haath kisī kī talab rahā hī nahīñ
samay kī jhiil ne paanī tarā.ī par pheñkā
vo shah-savār magar us taraf gayā hī nahīñ
muhīb rāste ham ko kahāñ Darā sakte
vafā kī raah pe koī hameñ milā hī nahīñ
maiñ saTpaTā ke razā.ī meñ muñh chhupātī huuñ
tumhārā hijr to kamre se jā rahā hī nahīñ
use talāsh kiyā hai farah bahut maiñ ne
vo ek shaḳhs jo mil kar bhī mil sakā hī nahīñ
Top Urdushayar.com