Farah Khan

parae dasht mein ninden luTa ke aai hun

Farah Khan

1970
parā.e dasht meñ nīndeñ luTā ke aa.ī huuñ
par us kī aañkh meñ sapne sajā ke aa.ī huuñ
maiñ kūza-gar to nahīñ thī magar haqīqat hai
maiñ us kī marzī kā us ko banā ke aa.ī huuñ
jise bhī jaanā ho jaa.e charāġh jaltā huā
baḌā kaThin thā agarche bujhā ke aa.ī huuñ
palaT to aa.ī huuñ lekin ḳhamosh dariyā ko
sulagtī pyaas kā qissa sunā ke aa.ī huuñ
vo intizār karegā mujhe yaqīñ hai magar
maiñ ab kabhī na milūñgī batā ke aa.ī huuñ
huzūr-e-ishq batāo mujhe kahāñ jā.ūñ
tumheñ ḳhabar hai maiñ naav jalā ke aa.ī huuñ
vo tere va.ade vo bāteñ vafā ḳhulūs 'farah'
maiñ khāre paanī meñ sab kuchh bahā ke aa.ī huuñ
Top Urdushayar.com