Wali Mohammad Wali

mat ghusse ke shoale sun jalte kun jalati ja

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
mat ġhusse ke sho.ale suuñ jalte kuuñ jalātī jā
Tuk mehr ke paanī suuñ tū aag bujhātī jā
tujh chaal kī qīmat suuñ dil niiñ hai mirā vāqif
ai maan bharī chanchal Tuk bhaav batātī jā
is raat añdhārī meñ mat bhuul paḌūñ tujh suuñ
Tuk paañv ke jhāñjhar kī jhankār sunātī jā
mujh dil ke kabūtar kuuñ bāñdhā hai tirī laT ne
ye kaam dharam kā hai Tuk us ko chhuḌātī jā
tujh mukh kī parastish meñ ga.ī umr mirī saarī
ai but kī pujan-hārī Tuk us ko pujātī jā
tujh ishq meñ jal jal kar sab tan kuuñ kiyā kājal
ye raushnī afzā hai añkhiyā ko lagātī jā
tujh neh meñ dil jal jal jogī kī liyā sūrat
yak baar use mohan chhātī suuñ lagātī jā
tujh ghar kī taraf sundar aatā hai 'valī' daa.em
mushtāq daras kā hai Tuk dars dikhātī jā
Top Urdushayar.com