ham ne kī hai tauba aur dhūmeñ machātī hai bahār
haa.e bas chaltā nahīñ kyā muft jaatī hai bahār
lāla-e-gul ne hamārī ḳhaak par Daalā hai shor
kyā qayāmat hai muoñ ko bhī satātī hai bahār
shāḳh-e-gul hiltī nahīñ ye bulbuloñ ko baaġh meñ
haath apne ke ishāre se bulātī hai bahār
ham giraftāroñ ko ab kyā kaam hai gulshan se lek
jī nikal jaatā hai jab sunte haiñ aatī hai bahār
nargis o gul kī khilī jaatī haiñ kaliyāñ dekho sab
phir bhī unhī ḳhvābīda fitnoñ ko jagātī hai bahār