tajallī gar tirī past o buland un ko na dikhlātī
falak yuuñ charḳh kyuuñ khātā zamīñ kyuuñ farsh ho jaatī
hinā tere kaf-e-pā ko na us shoḳhī se sahlātī
ye āñkheñ kyuuñ lahū rotīñ unhoñ kī niind kyuuñ jaatī
agar ye sard-mehrī tuj ko āsā.ish na sikhlātī
to kyūñkar āftāb-e-husn kī garmī meñ niind aatī
ilāhī dard-e-ġham kī sarzamīñ kā haal kyā hotā
mohabbat gar hamārī chashm-e-tar se meñh na barsātī