Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan

chali ab gul ke hathon se luTa kar karwan apna

Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan

Agra, Uttar pradesh, India

1699-1781
chalī ab gul ke hāthoñ se luTā kar kārvāñ apnā
na chhoḌā haa.e bulbul ne chaman meñ kuchh nishāñ apnā
ye hasrat rah ga.ī kyā kyā maze se zindagī karte
agar hotā chaman apnā gul apnā bāġhbāñ apnā
alam se yaañ talak roiiñ ki āḳhir ho ga.iiñ rusvā
Dubāyā haa.e āñkhoñ ne mizha kā ḳhāndāñ apnā
raqībāñ kī na kuchh taqsīr sābit hai na ḳhūbāñ kī
mujhe nāhaq satātā hai ye ishq-e-bad-gumāñ apnā
mirā jī jaltā hai us bulbul-e-bekas kī ġhurbat par
ki jin ne aasre par gul ke chhoḌā āshiyāñ apnā
jo tū ne kī so dushman bhī nahīñ dushman se kartā hai
ġhalat thā jānte the tujh ko jo ham mehrbāñ apnā
koī āzurda kartā hai sajan apne ko he zālim
ki daulat-ḳhvāh apnā 'maz.har' apnā 'jān-e-jāñ' apnā
Top Urdushayar.com