Zahid Kamal

mizaj-e-sher ko har daur mein raha mahbub

Zahid Kamal

mizāj-e-sher ko har daur meñ rahā mahbūb
khanaktā lahja sulagtā huā nayā uslūb
talāsh aur tajassus ke bāvajūd hameñ
vo chiiz mil na sakī jo hai vaqt ko matlūb
koī bhī aañkh vahāñ tak pahuñch nahīñ saktī
chhupā ke rakkhe haiñ tū ne jahāñ mire maktūb
abhī to aas ke āñgan meñ kuchh ujālā hai
salone chāñd judā.ī ke bādaloñ meñ na Duub
jo log kahte rahe haiñ ḳhudā mohabbat hai
ḳhud un ke hāthoñ hī ma.asūmiyat huī maslūb
'qulī'-qutub nahīñ 'zāhid'-kamāl huuñ ai dost
maiñ tere naam se kis shahr ko karūñ mansūb
Top Urdushayar.com