zaḳhm kā jo marham hote haiñ
log aise ab kam hote haiñ
sūraj Duub ke phir ubhregā
kyuuñ itne mātam hote haiñ
kamsin lafzoñ ke sīnoñ meñ
gahre matlab kam hote haiñ
lamha lamha umr ḳhushī kī
sadiyāñ sadiyāñ ġham hote haiñ
pahle aap samundar se
dariyā ḳhud hī zam hote haiñ