Zahid Kamal

lakh unchi sahi ai dost kisi ki aawaz

Zahid Kamal

laakh ūñchī sahī ai dost kisī kī āvāz
apnī āvāz bahar-e-hāl hai apnī āvāz
ab kueñ par nazar aatā nahīñ pyāsoñ kā hujūm
tere pāzeb kī kyā TuuT ke bikhrī āvāz
vo kisī chhat kisī dīvār se roke na rukī
garm hoñToñ ke tasādum se jo ubhrī āvāz
logo sach mat kaho sach kī nahīñ qīmat koī
kisī dīvāne kī sannāTe meñ gūñjī āvāz
būḌhī sadiyoñ kī jaḌeñ kaaT diyā kartī hai
choT khaa.e hue jazbāt kī zaḳhmī āvāz
maiñ ne jab jab kahā tishna haiñ adab kī qadreñ
dab ga.ī kitnī hī āvāzoñ meñ merī āvāz
vaz.a-dārī ne kahīñ kā nahīñ rakkhā 'zāhid'
varna kitnoñ ne badal rakkhī hai apnī āvāz
Top Urdushayar.com