daur-e-mai hai magar surūr nahīñ
jal rahe haiñ charāġh nuur nahīñ
choT khāne kā shauq hai dil ko
nigah-e-nāz kā qusūr nahīñ
laakh aao na yuuñ qarīb mire
tum kisī vaqt dil se duur nahīñ
duur duniyā se hai maqām tirā
mere zauq-e-nazar se duur nahīñ
maiñ nahīñ tark-e-mai pe gar qādir
tū to majbūr ai ġhafūr nahīñ
lutf kyā deñ bahār-o-abr ki jab
bāda-e-zīst meñ surūr nahīñ
bāda-e-shauq dil se pī ai 'ashk'
shīsha-o-jām kuchh zarūr nahīñ