Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali

mizaj-e-husn mein yarab tu pyar paida kar

Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali

Sambhal, Uttar pradesh, India

1916
mizāj-e-husn meñ yārab tū pyaar paidā kar
nahīñ to phir mire dil meñ qarār paidā kar
baḌhā na dast-e-talab nazr-e-nāz dil kar ke
nigāh-e-husn meñ apnā vaqār paidā kar
badal de koshish-e-paiham se āb-o-gil kā mizāj
ḳhizāñ na aa.e jise vo bahār paidā kar
falak pe chaḌh ke nazar aa.e kuchh jhalak jis kī
vo aarzū dil-e-ummīd-vār paidā kar
ye bebasī to nahīñ terī shān-e-insānī
tū aadmī hai to ḳhud iḳhtiyār paidā kar
tire amal se ho saarā jahān hairat meñ
zamīn-e-shor meñ bhī lāla-zār paidā kar
dayār-e-ġham ko miTā kar basā jahān-e-ḳhushī
na.ī fazā na.e lail-o-nahār paidā kar
jo chāhtā hai 'zafar' iltifāt-e-dost idhar
to dil meñ jazba-e-be-iḳhtiyār paidā kar
Top Urdushayar.com