ibtidā kitnī mohabbat kī hasīñ hotī hai
zindagī ḳhvāb pe mā.il-ba-yaqīñ hotī hai
ātish-e-rashk se jaltā hai dil-e-dard-navāz
koī uftād agar aur kahīñ hotī hai
asl īmāñ hai mohabbat jise qismat se mile
kaun kahtā hai ki ye dushman-e-dīñ hotī hai
karvaTeñ dard badaltā hai ḳhudā ḳhair kare
ek kasak aur na.ī dil ke qarīñ hotī hai
'ashk' āñkhoñ meñ haiñ gar ahl-e-mohabbat kī to kyā
choT lagtī hai jahāñ Tiis vahīñ hotī hai