Wali Mohammad Wali

kucha-e-yar ain kasi hai

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
kūcha-e-yār ain kaasī hai
jogī-e-dil vahāñ kā baasī hai
pī ke bairāg kī udāsī suuñ
dil pe mere sadā udāsī hai
ai sanam tujh jabīñ upar ye ḳhaal
hindavī har-dvār baasī hai
zulf terī hai mauj jamunā kī
til nazik us ke jiyūñ sanāsī hai
ghar tirā hai ye rashk-e-deval-e-chīñ
us meñ muddat suuñ dil upāsī hai
ye siyah-zulf tujh zanaḳhdāñ par
nāganī jyuuñ kūñve pe pyāsī hai
tās-e-ḳhurshīd ġharq hai jab suuñ
bar meñ tere libās-e-tāsī hai
jis kī guftār meñ nahīñ hai mazā
suḳhan us kā ta.aam baasī hai
ai 'valī' jo libās tan pe rakhā
āshiqāñ ke nazik libāsī hai
Top Urdushayar.com