milā jo ḳhaar to dil meñ biThā liyā maiñ ne
har ek phuul se dāman bachā liyā maiñ ne
nazar meñ un kā sarāpā basā liyā maiñ ne
ġham-e-firāq ko āsāñ banā liyā maiñ ne
na pūchh mujh se mire fart-e-shauq kā aalam
har ek ġham ko tirā ġham banā liyā maiñ ne
bhaḌak ke bujh gayā jab us kā har ek diyā
charāġh-e-dil ko shab-e-ġham jalā liyā maiñ ne
ye kyā ḳhabar thī dahakte hue haiñ añgāre
samajh ke phuul jinheñ sar chaḌhā liyā maiñ ne
fareb-kār rafīqoñ kī ab nahīñ hājat
ki apne siine se ġham ko lagā liyā maiñ ne
samajh liyā jise auroñ ne 'ashk' nā-mumkin
usī ko apnī tamannā banā liyā maiñ ne