Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali

ba-har-surat mohabbat ka yahi anjam dekha hai

Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali

Sambhal, Uttar pradesh, India

1916
ba-har-sūrat mohabbat kā yahī anjām dekhā hai
ki jaañ de kar bhī insāñ ko yahāñ nākām dekhā hai
jahāñ pahuñchī haiñ parde chaak kar ke ishq kī nazreñ
kahāñ tū ne vo manzar ai nigāh-e-ām dekhā hai
nigāh-e-yār ko barham kiyā hai maiñ ne ḳhud akasr
kabhī jo dard ko dil ke zarā ārām dekhā hai
laboñ tak mere baḌh ke ḳhud hī aa pahuñchā hai ai saaqī
nazar bhar kar kabhī maiñ ne jo sū-e-jām dekhā hai
kiyā hai munkir-o-sarkash ko bhī sairāb duniyā meñ
tire abr-e-karam ne kis ko tishna-kām dekhā hai
dil-o-jāñ kar diye nazr-e-nigāh-e-nāz bas maiñ ne
na kuchh āġhāz dekhā hai na kuchh anjām dekhā hai
marīz-e-ġham kī hālat dekhne vaale ye kahte haiñ
ki be-hoshī meñ bhī lab par tumhārā naam dekhā hai
ye apnī muḳhtasar hai 'ashk' rūdād-e-rah-e-ulfat
ki bas nākāmiyoñ ko saath har har gaam dekhā hai
Top Urdushayar.com