kuchh is tarah ġham-e-ulfat kī kā.enāt luTī
mirī zabān se niklī har ek baat luTī
qazā zarūr thī aanī magar zahe taqdīr
jahāñ meñ husn ke hāthoñ mirī hayāt luTī
ḳhabar huī kisī mad.hosh-e-aish ko na zarā
hamārī bazm-e-tamannā tamām raat luTī
tabāh-e-ishq haiñ bulbul chakor parvāna
rah-e-jahāñ meñ na sirf aadmī kī zaat luTī
na jaam hai na surāhī hai dekh ai saaqī
mire na hone se bazm-e-takallufāt luTī
mujhe to luuT liyā 'ashk' ranj-o-ġham ne magar
mirī kisī se na bazm-e-taḳhaiyyulāt luTī