Rasikh Azimabadi

mamnun hi raha us but-e-kafir ki jafa ka

Rasikh Azimabadi

Patna, Bihar, India

1757-1823
mamnūñ hī rahā us but-e-kāfir kī jafā kā
shikva na kiyā dil ne kabhū shukr ḳhudā kā
aazā ke tanāsub kā na vārafta ho itnā
āñkheñ haiñ to rah hairatī andāz o adā kā
har dam hai hadaf nāvak-e-bedād kā terī
patthar kā kalejā hai magar ahl-e-vafā kā
tābūt hī dekhā na mirā aañkh uThā kar
kyā sharm hai kushta huuñ maiñ us sharm o hayā kā
paas us ke banā diijo mirī aañkh bhī naqqāsh
gar khīñche hai tū naqsh-e-ruḳh us hūr-liqā kā
kis tarah maiñ ab sar pe bhalā ḳhaak na Dālūñ
dekhūñ huuñ nishāñ dar pe tirī sad kaf-e-pā kā
kis bekasī kī marg hai 'rāsiḳh' kā bhī marnā
naash us kī pe koī na huā mahv azā kā
Top Urdushayar.com